May 4, 2024

Friendship Anthem Lyrics By Poet Shaf

Friendship Anthem Lyrics– Poet Shaf

Friendship Anthem Lyrics: Friendship Anthem Is Latest Hindi Song By Poet Shaf. Friendship Anthem Lyrics Written By Poet Shaf. The Starring Of This Song Are Poet Shaf. This Song Sung By Poet Shaf. Music Is Given By Anurag Saikia.

Song : Friendship Anthem
Album : MTV Hustle 03
Singer : Poet Shaf
Lyrics : Poet Shaf
Music : Anurag Saikia
Label : KaanPhod Music

Friendship Anthem Lyrics

Yaadon Ki Gaadi
Yaaron Ki Yaari
Baaton Mein Baazi Khelte
Saalon Ki Gaali Hihi
Dhua Ho Kaafi Hihi
Har Gham Har Marz Jhel Gaye
Socha Na Kal Kya Hoga Bole
Kal Se Tujhko Dekh Lenge
Dekh Lenge Dekh Lenge

Noodles Sa Uljha Samaan
Uss Yaari Ka Aesa Nisha
Kardun Kya Main Sab Bayaan
Aur Bole Ye Baat Ja

Sari Sari Raat Sitaro Ke Pass
Baki Poora Din Yaaron Ke Saath
Chai Ki Dukaan Thi
Bachi Sari Shaam Karte Sab Bakwaas
Woh Bhi Third Class Bin Sans
Bole Bhai

Aaj Usne Dekha Woh Lag Rahi Kamaal Thi
Class Main Lag Chuki Thi Proxy Meherbaani Cr Ki
Poora Sem Nahi Gaye Class Pahuche Deen Ne Kahan
Sabne Ek Sur Main Bola Sir Maa Bemaar Thi
Ghar Se Aaye Khaane Pe Ho Jaati Maar Thi
Kuch Thae Svaarthi Kuch Bane Mere Saarthi
Raat Bhar 208 Ki Lights Jalti

Har Subah Awaaz Washroom Se Bhai Nikal Jaldi
Corridor Main Aashiqon Ki Majlis Chalti
Pachaas Paise Wale Call Pe Baat Hoti Bhalti
Daat Khaata Woh Jiski Na Thi Galti
Aur Hero Woh Jiski Zindagi Udhaar Pe Hi Chalti
Kamron Main Kagazon Pe Flames Ki Bharmaar
Aur Kamron Ke Dewaaron Pe Picture Victure Bhi Sajti

Waise Wali Picture
Kaise Wali Picture
Rom Com Action
Jazzy Wali Picture
Messi Wali Picture
Desi Wali Picture
Saucy Wali Picture
Bole Toh Badshah Bhai Thoda Naughty Wali Picture
Dekh
Panno Mein Bhara Dard Aur Phoonk Dala
Uthte Dhue Ke Chakkar Main Warden Ne Khoob Daata
Peete Hi Jaata Gham Bhool Waise Main Bhoolta Na
Mute Kara Lab Shoot Kara Lage Bhook Zyada

Itni Bhasad 60 Ml Dudh Neat Maar Li
Kisi Ne Pankha Moda Kisi Ne Seat Phaad Di
Kisi Ko Aayi Maa Ki Yaad
Kisi Ko Pyaar Ki
Peeke Dekha Neeche Apne Chakhne Ki Plate Saaf Thi
Phir Kya
Kalesh Ho Gaya
Bin Khaye
Mahesh Soo Gaya
Baki Bache Jo
Woh Karne Lage Ishq Ki Baat
Ye Sun Ex Ko Yaad Kar Suresh Ro Gaya
Lagta Kabhi Kabhi Kya Tol Sakte Ho Khushi Ko
Ye Nagma Hai Taufa Tum Sabhi Ko Haan

Yaado Ki Gaadi
Yaaro Ki Yaari
Baaton Main Baazi Khelte
Saalon Ki Gaali
Dhua Ho Kaafi
Har Ghum Har Marz Jhel Gaye
Aye Socha Na Kal Kya Hoga Bole
Kal Se Tujhko Dekh Lenge Lenge Lenge Lenge